bina chuk chuk railgadi chalane ke
bina lukachupi khailne ke
bina mitti main ghar banaane ke
ye BACHPAN aadhura hai
bina gudiya ko sajaane ke
bina paani main chap chap karne ke
bina kaagaz kaa hawaaijahaaz udaane ke
ye BACHPAN aadhura hai
bina papa ki anugi pakdke chalne ke
bina maa ke pallu main chup jaane ke
binaa daadi maa se kahaaniya sunne ke
ye BACHPAN aadhura hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment